Glad to share some beautiful Shayari on Chand in English sher to show how much you miss your beloved. When we are writing everything about the moon, why we should ignore moon shayari in Hindi.
shayari on chand in english Moon has always been a favourite for poets and authors. These chand status can also be used as good night shayari to wish your friends before sleeping.
Chand shayari on moon Chand ko dekh kar pata chalta hai
Khoobsurat cheez ko pana kitna mushkil hai
Sath sath ghoomte hai raat bhar
Log mujhe taara aur unhe chand kehete hai
You May Also Like This
Barish Shayari 2 Line English
Bewafa Dost Shayari In English
Bhai Ke Liye Shayari In English
Sad Shayari In Roman English
Chand par shayari Chand ko taaro ka sahara mila hai
Iss jaha ko kya nazara mila hai
Hum khud ko khush kismat samajhte hai
Hame aapka sath sari zindagi ka mila hai
Chand gawah hai mere pyar ka
Wo chand ke saamne pyar ki baatein karte the
Rooz taaro ki numaish mee khalal padta hai
Yeh chand pagal hai andhere mee nikal padta hai
Kaash koi aesi bhi raat aaye
Ek chand aasama mee ho
Aur dusara hamare karib aa jaye
Ek aada aapki dil churane ki
Ek aada aapki dil mee bas jane ki
Chand hai aapka chehera
Aur hame zid hai chand ko pane ki
Wo aasama hi hai jo rehe leta hoga
Ek din chand ke begair
Hame toh ek din bhi kabool nahi
Tujhe yaad kiye begair
Itna khoobsurat itafaq tha
Amawaas ki raat hai aur chand mere paas hai
Deete ho kyoo yeh dard baas humiko
Kyaa samjhogee tum in aankhon ki namiko
Yu tooh honge lakho diwaane iss chand ke
Chand kyaa samjhegaa ek taare ki kamiko
Toote khuwaab ki tasveer kab poori hoti hai
Chand aur taaro ke beech bhi doori hoti hai
Deena toh khuda hame sab kuch chahata hai
Par uski bhi kuch majboori hoti hai
Mehefil na hoti, nazare na hote
Yu chand ke pehlu mee sitare naa hote
Hum iss liye rehete hai bechain aap ke liye
Dil ke karib saare nahi hote
Kyu hame kisiki talash hoti hai
Kyu dil ko kisiki aaas hoti hai
Chand ko dekho vo bhi tanha hai
Magar uski roshini se roshan raat hoti hai
Dilkash rangat si hai tere inn sawaalo mee
Hum jawab dete dete kho gaye tere khayaalo mee
Aae chand hamara bhi paigaam unhe dena
Ki main har pal sath ho uske raat aur ujaalo mee
Kisi ke intezaar mee raato ko barbaad naa karna
Tootate hue sitare ne ye baat hamko sikhai hai
Aadha chand aadha ishq
Aadhi si bandagi
Mere ho aur mere hi nahi
Yeh kaisi zindagi
Ishq karna hoto raat ki tarah karo
Jise chand bhi pasand ho aur daag bhi kabool na ho
Patthar ki duniya jazbaat nahi samajhti
Dil mee kya hai wo baat nahi samajhti
Tanha toh chand bhi hai sitaro ke beech
Par chand ke dard ko raat nahi samajhti
Chand nikalte hi hum roo dete hai
Aasuo se aankho ko dhoo dete hai
Kya jaano tum mere jazbaato ko
Tum wapas nahi aaoge ye soch kar
khud ke hi dil toh tod dete hai
Jis chand ko hazaro chahane wale ho
Wo kya samjhe ek taare ki kami
[share_and_copy_block]Jara tehero jee bhar ke dekhu
Roz kaha chand zami par utarta hai
Poore ki khwaish mee insaan
Bahut kuch khota hai
Bhool jata hai ye baat
Aadha chand bhi khoobsurat hota hai
Ek tera naam rahe meri zubaan pe
Jaise chand reheta hai uss aasman pe
Aap wo chand ho jiski roshni sab par nahi padti
Hum khush nasseb hai jo aap hame roshan kar dete ho
Na chand ki jaroorat hai
Na falak ki jaroorat hai
Hame toh sirf teri
Ek jhalak ki jaroorat hai
Chod jate hai log aksar rula kar
Bas ek chand hi hai jo aab tak asama se wafa kar raha hai
Tujhse toh chand bhi jalta hai
Teri khooburati pe har koi marta hai
Dua karte hai rab se ki aap hame milo
Dil hamara baas aapko hi yaad karata hai
Chand ko dekh kar aapko yaad karte hai
Tu paas nahi isiliye chand se hi baat karte hai
Kitna khoobsurat chehera hai chand ka
Uss par rang gehera hai shabab ka
Khuda ko yakeen ne tha wafa par
Isiliye chand par pehera hai taaro ka
Falak par tika hai wajood sabka
Lekin mohabbat toh sirf chand se hi hai
Jisne meri neend udda rakhi hai
Wo bilkul chand jaisa hai
Chand par kabhi andhera hota hi hoga
Chand se taaro ka ruthna kabhi hota hi hoga
Tum kitna bhi chupalo hamse
Tumhara dil hamare liye dhadakta hi hoga
Jabse chand ko akela dekha hai
Dil ko thoda sukun sa mila hai
Chand bina badal fike ho jate hai
Waise hi tum bin hum fike ho jate hai
Chand chahe kitni bhi roshni de
Hum toh sirf tumhari roshini se hi khilte hai
Mohabbat mee sab kuch aacha lagta hai
Magar bewafai mee chand ke daag bhi dikhne lage hai
Tumhare chand jaise chehere par mayusi achi nahi lagti
Isiliye aaj kal hum door hai aapse
Jab aasaman mee chand uutre toh jaam ho gaye
Tere naam ek khoobsurat shaam ho gaye
Kaise baya karu tujhe
Mere yaar ke baare mee
Itna jaan le chand nahi hai wo
Magar chand uske jaisa hai
Aacha hota agar hum chand se mohabbat kar lete
Door hi sahi magar nazar toh aata
Aasama mee kitne taare
Par chand jaisa koi nahi
Iss dharti par kitne chehere
Par aap jaisa koi nahi
Chand ko aaj haste dekha hai
Bebaas dil machalte dekha hai
Khul ke haste hai jo log mehefil mee
Unko chup chap rote dekha hai
Chand ko jami par laane ki jid thi
Unhe apna banane ki jid thi
Aacha hua wo pehele bewafa ho gaye
Vaarna unhe pane keliye duniya se laadne ki zid thi
Sooraj Sitare Chaand Mere Saath Mein Rahe,
Jab Tak Tumhare Haath Mere Haath Mein Rahe!
Wo Thaka Hua Meri Baahon Mein Zara So Gaya Tha,
To Kya Hua,
Abhi Maine Dekha Hai Chaand Bhi Kisi,
Shaakh-E-Gul Pe Jhuka Hua!
Wo Chaand Hai To Kya Hua Janab,
Hum Bhi Dariya Ki Tarah Unke Aks Ko Zahan Mein Utaar Lenge
Wo Chaand To Hamesha Se Khamosh Raha Hai,
Shor To Sitaaron Ne Tootkar Machaya Hai
Wo Chaand Ko Dekhti Rahi Hum Use Dekhte Rahe,
Gali Ke Sab Log Bas Hame Dekhte Rahe
Raat Bhar Karta Raha,
Teri Tareef Chaand Se,
Chaand Itna Jal Gaya Ki,
Subah Tak Sooraj Ho Gaya!
Raat Ko Jab Chaand Sitare Chamakte Hain
Hum Hardam Aapki Yaad Mein Tadapte Hain
Aap To Chale Jaate Ho Chhodkar Hamein
Hum Raat Bhar Aapse Milne Ko Tarasate Hain!
Ye Shanti Bhari Raat Ka Sannaata,
Aur Is Chaand Ki Chaandni,
Sukoon Deti Hai Is Dil Ko
Ye Raatein Bhi Mujhe Ab Un Raaton Si Nahi Lagti,
Na Sitare Hote Hain Na Paas Mera Chaand Hota Hai
Ye Chaand Roz Aata Hai,
Aur Meri Yaadon Ki Zakhmon Ko
Khuredkar Chala Jaata Hai
Yeh Kaise Dhokhe Humne Khaaye Hue Hain
Raat Guzar Gayi Aur Hum Chaand Sajaaye Hue Hain!
Mohabbat Ne Maangi Thi Sitaron Ki,
Humne Unhe Aaina Mein Chaand Dikhaya
Main Baadal Ban Jaun,
Tum Chaand Ban Jaana,
Tumhaara Noor Koi Chura Na Le,
Tum Mujhme Kahin Chhup Jaana
Main Apne Chaand Ka Chaand Hoon,
Khubsurat To Itna Nahi
Par Bedaag Ek Ahsas Hoon
Mumkin Hai Daag Ho,
Chaand Banne Ki Khwahish Jo Thi
Mujhe To Rok Liya Use Kaise Rokoge Tum
Wo Jab Chaand Tumhe Dekhega Use Kaise Tokoge Tum!
Mat Pooch Mere Jaagne Ki Wajah Ai Chaand,
Tera Hi Hamshakl Hai Jo Sone Nahi Deta
Mat Kar Gurur Tu Ai Chaand Apni Is Khoobsurti Par,
Dekh,Aaj Bhi Tu Akela Hai Itni Unchaiyon Par
Besabab Muskura Raha Hai Chaand,
Koi To Saazish Chhupa Raha Hai Chaand!
Bikhre Hue Lamhe Ab Ham Na Samet Paayenge,
Chaand Chala Gaya Aasman Se,
Sitare Kab Tak Thahr Paayenge
Baadal Chaand Ko Chhupa Sakta Hai
Aakash Ko Nahi Hum Sab Ko
Bhula Sakte Hain Aapko Nahi!
Bada Magroor Rehta Hai,
Khud Pe Gurur Rakhta Hai,
Wo Chaand Hai Janab,
Falak Se Zameen Par Kahar Barsata Hai
Palkon Ko Jhuka Ke Kuch Nazaakat Ke Saath Yun Sharamate Hain,
Jab Wo Pyaar Se Hame Apna Chaand Bulati Hain
Na Chat Par Kabhi Aata
Na Ghar Se Kabhi Nikalta Hai
Mera Mahboob Jaise Chaand Sa
Ghataon Mein Chipata Hai..!
Na Chaand Ka Khwab Hai,
Na Sitaron Ki Chaah Hai,
Zindagi Ki Udaan Ke Liye To,
Khula Aasmaan Hi Kaafi Hai
Na Taare Na Chaand Na Unka Aasmaan Chaahiye,
Mujhe To Bas Meri Mohabbat Ki Salaamti Chaahiye
Na Chaahte Hue Bhi Mere Lab Par
Ye Fariyaad Aa Jaati Hai
Ai Chaand Samne Na Aaye
Sanam Ki Yaad Aa Jaati Hai!
Na Chaand Ki Chaah Na Falak Ka Intezaar Hai,
Kaise Kahun Mujhe Bas Tujhse Hi Pyaar Hai!
Dekhne Ke Baad Aapko Hamein Hosh Kahan Rahega,
Hum Rahenge Wahan Jahan Chaand Hamara Rahe!
Deedar-E-Chaand Waali Raat Aayi Hai
Bazaar Mein Raunak Aur Gharon Mein
Khushiyon Ki Saugat Laayi Hain!
Tere Chehre Se Aise Noor Jhalakta Hai,
Jaise Door Aasmaan Mein Chaand Chamakta Hai!
Teri Baaton Mein Hamesha Chahat Jhalakti Hai
Sanam Chaand Hi Nazar Aaye Hardam,
Chehre Mein Tumhare Jaanam!
Tera Chehra Jaise Chamakta Koi Chaand Ho,
Tere Husn Par Kaala Til Jaise Chaand Me Koi Daag Ho!
Tu Bilkul Chaand Ki Tarah Hai,
Noor Bhi, Gurur Bhi Aur Door Bhi!
Tu Chaand Aur Main Sitara Hota,
Aasman Mein Ek Aashiyaana Hamara Hota,
Log Tumhe Door Se Dekhte Nazdeek Se Dekhne Ka,
Haq Bas Hamara Hota!
Tujhko Dekha To Fir Usko Na Dekha Maine,
Chaand Kehta Raha Main Chaand Hoon Main Chaand Hoon!
Tasveer Bana Kar Teri Aasmaan Pe Taang Aaya Hoon,
Aur Log Poochhte Hain Aaj Chaand Itna Bedaag Kaise Hai
Talab Sabko Hai Chaand Nihaarne Ki,
Zaruratein Kehti Hai Subah Bani Rahe
Jo Tu Samajhe To,
Chamakte Chaand Ka Sitara Hu Main,
Jo Na Samajhe To Avara Hu Main
Jaise Chaand Aur Taron Ke Ek Doosre Ke Paas Hone Ka Ahsaas Hota Hai,
Bas Kuch Waisa Hi Kissa Hai Hum Dono Ka Bhi
Jis Chaand Ke Hazaaron Ho Chahne Wale
Wo Kya Samajhega Ek Sitare Ki Kami Ko!
Zikr Teri Khubsurti Ka Jo Kiya,
To Wo Chaand Bhi Sharmaaya,
Hum Kisse Par Kissa Sunate Gaye
Wo Baadlon Mein Gum Ho Gaya!
Zindagi Mein Mano Poornima Ki
Roshani Sa Ujala Aaya Hai
Jab Se Maine Use Apna
Chaand Banaya Hai..!
Chaahte To Hum Bhi Tumhe Ek Zamane Se The
Magar Ye Chaand Kab Mohabbat
Karne Walon Ka Hua Hai.!!
Chaand Sa Mukhda Daal
Wo Chat Par Jo Aati Hai
Haay Kya Adaakari Hai
Wo Hamse Nazre Churati Hai.!!
Chaand Se Baatein Tumhari Har Roz Karte Hain,
Dekho Door Hokar Bhi Hum Kitne Paas Rahte Hain
Chaand Se Baatein Karta Hai,
Apne Chaand Ki Baatein Karta Hai,
Ye Pagla Aashiq,
[share_and_copy_block]Raatbhar Chaand Paane Ke Tareeke Sochta Hai
Chaand Se Pyari Chandni,
Chandni Se Pyari Raat,
Raat Se Pyare Ho Aap!
Chaand Se Aitbar Karun,
Chaand Se Iqraar Karun,
Chaand Ka Izhaar Karun,
Chaand Se Hi Pyaar Karun,
Ek Chaand Hi To Hain Jisika Main Intezaar Karun
Chaand Mein Nazar Kaise Aaye Teri Surat Mujhko
Aandhiyon Se Aasman Ka Rang Mail Ho Gaya!
Chaand Taaron Mein Nazar Aaye Chehra Aapka,
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai Pahra Aapka! Chaand Taaron Ki Kasam Khaata Hoon
Main Bahaaron Ki Kasam Khaata Hoon
Koi Aap Jaisa Nazar Nahi Aaya,
Main Nazaaron Ki Kasam Khaata Hoon!
Chaand Ko Dekhun To Tera Chehra Nazar Aata Hai,
Main Ishq Mein Hoon Itna To Mujhe Samajh Mein Aata Hai!
Chaand Ke Saaz Par Roshni Geet Gaate Hue Aa Rahi Hai,
Teri Zulfon Se Chhankar Wo Dekho Chaandni Noor Barsa Rahi Hai.
Chaand Ke Liye Sitare Anek Hai
Lekin Sitaron Ke Liye Chaand Ek Hai
Aapke Liye To Hazaron Honge
Lekin Hamare Liye Aap Ek Hai!
2 Lines Chand ki Shayari Chand Ke Deedar Mein Tum Chhat Par Kya Chali Aayi,
Shahar Mein Eid Ki Tareekh Mukammal Ho Gayi
Kal Chaudvin Ki Raat Thi, Shab Bhar Raha Charcha Tera,
Kuch Ne Kaha Ye Chand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera….
Raat Faili Hai Tere Surmayi Aanchal Ki Tarha,
Chand Nikla Hai Tujhe Dhundne Pagal Ki Tarha….
Chand and Zulf Shayari Puchha Jo Un Se Chand Nikalta Hai Kis Tarha,
Zulfon Ko Rukh Pe Daal Ke Jhatka Diya Ki Yun….
Kyun Meri Tarha Raton Ko Rehta Hai Pareshaaan,
Ai Chand Bata Kis Se Teri Aankh Ladi Hai….
Rehne Do Abhi Chand Sa Chehra Mire Aage,
Mai Aur Pilao Ki Abhi Raat Bahut Hai….
Chand Hota Na Aasma Pe Agar,
Hum Kise Aap Sa Hasi Kehte….
‘Qamar’ Apne Ghar Un Ko Mehmaan Bula Kar,
Bila Chand Ke Chandni Raat Kar Li….
Aaj Fir Chand Der Se Nikla,
Tum Ne Fir Der Kar Di Aane Mein….
Chand Apne Aap Ko Kehte Ho Tum,
Aao Dekhein Ho Gayi Hai Raat Bhi….
‘Mehshar’ Is Taaron Ki Duniyan Mein Mudaam,
Chand Ki Manind Hum Tanha Rahe….
Uski Zid Thi Koi Mujhsa Dusra Lao,
Badi Mushkil Se Mein Chand Khinch Ke Laya Hun….
Ek Bosa Hi Diya Tha Raat Ne,
Chand Tu To Raat Hi Ka Ho Gaya….
Shaam Ke Saaye Balishton Se Naape Hain,
Chand Ne Kitni Der Laga Di Aane Mein….
Dekh Ye Chand, Nadi, Phool, Na Ja,
Rut Mein Ras, Shab Mein Nasha Baaki Hai….
Chand Ban Kar Chamakne Wale Ne,
Mujh Ko Suraj-Misaal Kar Dala….
Bheed Mein Reh Kar Apna Bhi Kab Reh Pata,
Chand Akela Hai To Sab Ka Lagta Hai….
Chandni Raton Mein Chillata Fira,
Chand Si Jis Ne Wo Surat Dekh Li….
Chand Ka Husn Bhi Zameen Se Hai,
Chand Par Chandni Nahin Hoti….
Jab Bhi Gravity Aur Oxygen Yaad Aati Hain Humein,
Ye Zamin Chand Se Behtar Nazar Aati Hain Humein….
Ai Kaash Hamari Kismat Mein Aisi Bhi Koi Shaam Aa Jaaye,
Ek Chand Falak Par Nikla Ho Ek Chand Sar-E-Bam Aa Jaaye….
Ai Chand Itna Na Chamak Humne Bhi Kai Chand Dekhe Hain,
Fark Sirf Itna Hai Ki Tum Par To Daag Hain Par Humne Bedaag Dekhein Hain….
Na Chah Kar Bhi Mere Lab Par Ye Fariyad Aa Jati Hai,
Ai Chand Saamne Na Aa Kisi Ki Yaad Aa Jaati Hai….
Main Us Ko Chand Keh Dun Ye Mumkin To Hai,
Magar Log Use Raat Bhar Dekhein Ye Mujhe Gawara Nahin….
Chand Hai Zere-Kadam Suraj Khilona Ho Gaya,
Haan, Magar Is Daur Mein Qirdar Bona Ho Gaya….
Log Chand Talashte The Meri Jeb Mein,
Main Aksar Tumhari Tasveer Rakhna Bhool Jata Tha….
Chand Sa Chehra Shayari Chehre Se Jara Aanchal Jab Aapne Sarkaya, Duniyan Ye Pukaar Uthi Lo Chand Nikal Aaya…. Poonam Ka Chand Paane Ki Kaushish Harchand Thi, Batate Hain Khandhar Ki Imarat Kabhi Buland Thi…. Mujhe Duniyan Ki Eidon Se Bhala Kya Vasta Yaaron, Hamara Chand Dikh Jaaye Hamari Eid Ho Jaaye…. Tanha Udaas Chand Ko Samjho Na Bekhabar, Har Baat Sun Raha Hai, Magar Bolta Nahin…. Ijazat Ho To Tere Pas Aa Jaao Main, Chand Ke Pas Bhi To Ek Sitara Hota Hai…. 4 Lines Shayari on Moon Chand Ka Kya Kasoor Agar Raat Bewafa Nikli, Kuch Pal Thehri Aur Fir Chal Nikli, Un Se Kya Kahe Wo To Sachhe The, Shayad Hamari Takdir Hi Humse Khafa Nikli…. Har Sapna Khushi Pane Ke Liye Poora Nahin Hota, Koi Kisi Ke Bina Adhura Nahin Hota, Jo Chand Raushan Karta Hai Raat Bhar Ko, Har Raat Wo Bhi Poora Nahin Haota…. Sitara Shayari Kaash Ki Tu Chand Aur Main Sitara Hota, Aasmaan Mein Ek Aashiyana Hamara Hota, Log Tumhein Door Se Dekhte, Nazdeek Se Dekhne Ka Haq Bas Hamara Hota…. Chand Niklega To Dua Mangenge Apne Hisse Mein Muqaddar Ka Likha Mangenge Hum Talabgaar Nahin Duniyan Aur Daulat Ke Hum Rab Se Sirf Aapki Wafa Mangenge Chaand Ke Deedar Mein Tum Chat Par Kya Chali Aayi Sheher Mein Eid Ki Taareekh Mukammal Ho Gayi! shayari on chand in english Chaand Ki Tarah Hi Khile Teri Muskaan, Taaron Ki Tarah Saje Tere Armaan, Tu Udaas Na Ho Kabhi, Teri Zindagi Mein Khushiyon Ho Beshumaar! Chaand Ki Khoobsurti Par Ek Pahra Dikh Raha Hai, Aaj Mujhe Chaand Mein Mahboob Ka Chehra Dikh Raha Hai!Chaand Ki Khoobsurti Par Ek Pahra Dikh Raha Hai, Aaj Mujhe Chaand Mein Mahboob Ka Chehra Dikh Raha Hai! Chaand Ka Husn Bhi Zameen Se Hai, Kyunki Chaand Par Chaandni Nahi Hoti! Khwab Dekhne Ki Mujhe Khwahish Nahi, Main To Raat Guzarta Hoon Chaand Dekhte-Dekhte! I hope you enjoyed Shayari on Chand in English